Mann Jaage Saari raat - Gajendra Verma From Bittu Boss
Season 1 Episode 1
Mann Jaage Saari raat - Gajendra Verma From Bittu Boss — S1 E1
2015-02-23
Lyrics : Mann jaage saari raat, mera deewana Mann maane na ye baat, ke woh tha begana Hai khud se hi, khafa khafa Kya chahiye nahi pata! baawra!...... Paaya jo naa chaaha, chaaha woh naa paaya Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya Kya kya raste dhoonde! par na kahin mil paaya! Par saaya thehra saaya ke haathon mein na aaya Koi subah, jo main uthuun Bujhe agan, mile sukoon, baawara!!!!! Gin.ta rehta taare lotun main angare Khud se ladta phirta yeh jag ko thokar maare Kheenche-kheenche baithe, baithe-baithe bhaage Na sunta khud ke aage, yeh pagal ho gaya re Gin.ta rehta taare lotun main angare Khud se ladta phirta yeh jag ko thokar maare Kheenche-kheenche baithe, baithe-baithe bhaage Na sunta khud ke aage, yeh pagal ho gaya re Yeh dard kyun yeh pyaas kyun Phira kare, udaas kyun Yeh ranj kyun talash kyun Bata! baawara Thandi aahein bhar ke jeeta hai mar-mar ke Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke Dhoke se nazar ke jhonke se umar ke Ret ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke Thandi aahein bhar ke jeeta hai mar-mar ke Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke Dhoke se nazar ke jhonke se umar ke Ret ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke Aaa aah aa.. Mann jaage, jaage re Mann jaage Jaage jaage jaage baawara... Additional Lines From Movie not included in song : Hai zindagi muhaal kyun Bana liya yeh haal kyun bata.. Uljha-uljha rehta naa sunta naa kuch kehta Sooni sooni aankhon se reh reh paani behta Toote saare naate, haara main samjhate Bichhde din aur saathi phir wapas nahi aate Wapas nahi aate, wapas nahi aate